Sunday, September 12, 2010

Gauranveet hai maa baap, aap srujan seelta beti bankar aayi
basera hai aapka kisi aur ke aanga mai, aapka tyag hi bana abhimaan maa baap ka

bhagwan bhi komalta ka prateek hai, tau uski pasand bhi komalta hi hai
komalta ke saath srujanta ki atoot taakat, yehi visistata tau betiyon ki reet hi hai

tyaag tapasya aur balidaan, ye hi tau sab hai vardaan
vida karke, rakhna hi hota hai srujan shakti ka maan

samajhi aapne paribhasha jeevan ki, karke ichchhaye nyochhawar
maan rakha ishwar ichchha ka, abhiman bane maa baap ke

naseeb naseed ki baat hai, aapko srujan karna hi hota hai
saayad aap hi ki tapasya hogi, isliye aap hi ko ye gaurav mila hai

No comments:

Followers

kavitaye

Feedjit