Sunday, September 12, 2010

Mein beti bankar aayi hoon Maa-baap ke jeevan mein
Basera hai aaj kal mera kisi aur ke aangan mein

Kyon yeh reet bhagwan ne banayi hogi
kehte hain aaj nahi toh kal tu parayi hogi

De kar janam pal-poskar jisne hamein bada kiya
aur waqt aaya toh unhi haathon se hamein vida kiya

betiya isse samajhkar paribhasha apne jeevan ki
bana deti hai abhilasha ek atoot bandhan ki

kyon rishta hamara itna ajeeb hota hai
kya bas yahi hum betiyon ka naseeb hota hai

No comments:

Followers

kavitaye

Feedjit